Saturday, May 12, 2018

Safar Ko Jab Bhi Kisi Dastaan Mein Rakhna

Safar ko jab bhi kisi dastaan mein rakhna,
Qadam yaqeen mein manzil gumaan mein rakhna,

Jo saath hai wahi ghar ka naseeb hai lekin,
Jo kho gaya hai use bhi makaan mein rakhna,

Jo dekhti hain nigaahein wahi nahin sab kuchh,
Ye ahtiyaat bhi apne bayaan mein rakha,

Wo ek khwaab jo chehra kabhi nahin banta,
Bana ke chaand use aasman mein rakhna,

Chamakte chaand-sitaaron ka kya bharosa hai,
Zameen ki dhoil bhi apni udaan mein rakhna.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...