So ke jab wo nigaar uthta hai,
Misl-e-abr-e-bahaar uthta hai...
Teri aankhon ke aasre ke baghair,
Kab ghum-e-rozgaar uthta hai...
Do ghadi aur dil lubhaata ja,
Kyun khafa ho ke yaar uthta hai...
Aise jaati hai zindagi ki ummeed,
Jaise pahlu se yaar uthta hai...
Zindagi shirkato'n se chalti hai,
Kis se tanha ye baar uthta hai...
Jo bhi uthta hai us ki mahfil se,
Khasta o dil-figaar uthta hai...
Aaj ki raat khair se guzre,
Dard-e-dil baar baar uthta hai...
Aao kuchh zindagi ke naaz sahein,
Kis se tanha ye baar uthta hai...
Hosh mein ho to may-kade se 'Adam',
Kab koi baada-khwar uthta hai.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Nigaar = picture, portrait, idol,
Baar = load/ burden,
Khasta = wounded, broken, sick, injured,
Dil-figaar = mournful, pensive, melancholy,
Baada-khwar = drinker, boozer,
No comments:
Post a Comment