||| Nazm |||
Suno jaanaa,
Mujhe kuchh der sona hai,
Aur apni aankh ki putli mein raqsaa'n
Titliyon ke lams ko mahsoos karna hai,
Suno jaanaa,
Main aankhen band karti hun,
To un makhmoor lamhon mein,
Tumhaare reshmi ahsaas ki ek narm si khushbu,
Nawah-e-jism-o-jaan mein phail jaati hai,
Faza mahmez hoti hai,
Usi saa'at hawa-e-neem-shab nirmal suro'n mein gungunati hai,
Tumhaari yaad aati hai,
To meri aankh ki putli mein raqsaa'n titliyan mujh ko sataati hain,
Badan mein phail jaati hain,
Suno jaanaa,
Mujhe kuchh der sone do,
Wisaal-asaar lamhon ka
Pata deti gulabi titliyon ke lams ko
Mahsoos karne do,
Mujhe kuchh der sona hai,
Mujhe kuchh der sone do.!!
"Naaz Butt"
___
Makhmoor = intoxicated, inebriated, drunk,
Nawah-e-jism-o-jaan = Vicinity, environs of body and life,
Faza = ambience,
Mahmez = a spur, to goad, spur,
Saa'at = a moment,
No comments:
Post a Comment