||| Nazm |||
Zamana is ki khwahish mein azal se choor hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa,
Rukh-e-mahtab se raushan nigaar-e-khwab se raushan,
Nazar mein khulne waale sabza-e-shadab se raushan,
Sitaaron se kahin badh kar chamak is ke jilau mein hai,
Jo aab-o-taab hai is mein kahaan suraj ki zau mein hai,
Ye nakhl-e-ishq par jaise wafa ka baur hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa,
Ye jis dil mein utar jaaye use ma'amoor kar jaaye,
Sarapa rang kar jaaye tamannaon se bhar jaaye,
Ye aisa kaif hai jo har qadam par zindagi pur-noor karta hai,
Utar kar rooh mein is ke andhere door karta hai,
Ye wo ahsaas hai jo har ghadi bharpoor hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa,
Mohabbat noor hai jaanaa.!!
"Naaz Butt"
___
Jilau = in the company of/ side,
Zau = light, sunlight, glow,
Nakhl-e-ishq = tree of love,
Baur = ripening,
Ma'amoor = decorated, embellished, saturated, populous,
No comments:
Post a Comment