||| Nazm |||
Wasl ke fasaane se,
Hijr ke zamaane tak,
Faasla hai sadiyon ka,
Faasla kuchh aisa hai,
Umr ki musaafat bhi
Jis ko tay na kar paaye,
Manzilon ke milne tak,
Aarzu hi mar jaaye,
Chaar samt aahon ke,
Dil-figaar manzar hain,
Manzaron ki baarish mein,
Aankh bheegi rahti hai,
Aaine se kahti hai,
Kis liye sanwarti hoon,
Kyun singhaar karti hoon,
Ajnabi musaafir ka
Intizaar karti hoon,
Roz roz jeeti hoon,
Roz roz marti hoon.!!
"Naaz Butt"
___
Musaafat = journey,
Dil-figaar = mournful, pensive, melancholy,
No comments:
Post a Comment