Monday, May 14, 2018

Sukoon-e-dil To Kahaan Raahat-e-nazar Bhi Nahin

Sukoon-e-dil to kahaan raahat-e-nazar bhi nahin,
Ye kaisi bazm hai jis mein tera guzar bhi nahin,

Bhatak raha hai zamana ghane andhere mein,
Wo raat hai jise andesha-e-sahar bhi nahin,

Na jaane kaun si manzil ko le chale hum ko,
Wo hum-safar jo haqeeqat mein hum-safar bhi nahin,

Teri nigaah ka dil ko yaqeen sa hai warna,
Suni hai baat kuchh aisi ki mo'atabar bhi nahin.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...