Sitam ke baad karam ki ada bhi khoob rahi,
Jafa to khair jafa thi wafa bhi khoob rahi,
Ba-faiz-e-gardish-e-dauraan unhein bhi pyaar aaya,
Ba-pas-e-maslahat un ki raza bhi khoob rahi,
Ba-sad-khuloos qana'at ki daad milti hai,
Gada-nawazi-e-ahl-e-sakha bhi khoob rahi,
Lagi hai mohr muqaddar ki daane daane par,
Ye khush-mazaqi-e-shan-e-khuda bhi khoob rahi,
Kahin shikam ke taqaze nazar nahin aate
Charagh-e-dair-o-haram ki ziya bhi khoob rahi,
Humare haath se aati hai bu-e-pairahan,
Hamare husn-e-talab ki ada bhi khoob rahi.!!
"Qateel Shifai"
___
Raza = desire, willingness, will, wish,
Ba-sad-khuloos = with hundred affections,
Qana'at = contentment , satisfaction,
Shikam = the belly, stomach,
Taqaze = demand, urge,
No comments:
Post a Comment