Sitam ki rasmein bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle,
Saza khata-e-nazar se pahle itaab jurm-e-sukhan se pahle..
Jo chal sako to chalo ke raah-e-wafa bahut mukhtasar hui hai,
Maqaam hai ab koi na manzil faraaz-e-daar-o-rasan se pahle..
Nahin rahi ab junoon ki zanjir par wo pahli ijaara-daari,
Giraft karte hain karne waale khirad pe deewana-pan se pahle,
Kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara,
Ba-zid hai qaatil ke jaan-e-bismil figaar ho jism o tan se pahle,
Ghuroor-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdaar honge,
Jo khaar-o-khas waali-e-chaman the urooj-e-sarw-o-suman se pahle,
Idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai,
Zabaan sambhalein ke dil sambhalein aseer zikr-e-watan se pahle..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
__________
Faraaz-e-daar-o-rasan = eminence of crucifixion,
Ijaara-daari = having a monopoly,
Ghuroor-e-sarw-o-saman = pride of eucalyptus and jasmine,
Khaar-o-khas = rubbish,
Waali-e-chaman = chief of garden,
Urooj-e-sarw-o-saman = height of cypress,
No comments:
Post a Comment