Subah ka bhed mila kya hum ko,
Lag gaya raat ka dhadka hum ko,
Shauq-e-nazzara ka parda uththa,
Nazar aane lagi duniya hum ko,
Kashtiyan toot gayi hain saari,
Ab liye phirta hai dariya hum ko,
Bheed mein kho gaye aakhir hum bhi,
Na mila jab koi rasta hum ko,
Talkhi-e-ghum ka mudawa maloom,
Pad gaya zahar ka chaska hum ko,
Tere ghum se to sukoon milta hai,
Apne shoalon ne jalaya hum ko,
Ghar ko yun dekh rahe hain jaise,
Aaj hi ghar nazar aaya hum ko,
Hum ke shoala bhi hain aur shabnam bhi,
Tu ne kis rang mein dekha hum ko,
Jalwa-e-laala-o-gul hai deewaar,
Kabhi milte sar-e-sahra hum ko,
Le udi dil ko naseem-e-sahri,
Bu-e-gul kar gayi tanha hum ko,
Sair-e-gulshan ne kiya aawara,
Lag gaya rog saba ka hum ko,
Yaad aai hain barahana shaakhein,
Thaam le ai gul-e-taaza hum ko,
Le gaya saath uda kar 'Baqi',
Ek sookha hua patta hum ko.!!
"Baqi Siddiqui"
No comments:
Post a Comment