Rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya,
Tere jalwon ka asar yaad aaya,
Wo nazar ban gayi paighaam-e-hayat,
Halqa-e-shaam-o-sahar yaad aaya,
Ye zamana ye dil-e-deewana,
Rishta-e-sang-o-gauhar yaad aaya,
Ye naya shahar ye raushan raahein,
Apna andaaz-e-safar yaad aaya,
Raah ka roop bani dhoop apni,
Koi saaya na shajar yaad aaya,
Kab na us shahar mein patthar barse,
Kab na us shahar mein sar yaad aaya,
Ghar mein tha dasht-nawardi ka khyaal,
Dasht mein aaye to ghar yaad aaya,
Gard udti hai sar-e-raah-e-khyaal,
Dil-e-nadaan ka safar yaad aaya,
Ek hansti hui badli dekhi,
Ek jalta hua ghar yaad aaya,
Is tarah shaam ke saaye phaile,
Raat ka pichhla pahar yaad aaya,
Phir chale ghar se tamasha ban kar,
Phir tera rauzan-e-dar yaad aaya,
Kisi patthar ki haqeeqat hi kya,
Dil ka aaina magar yaad aaya,
Aanch daaman-e-saba se aai,
Aitibaar-e-gul-e-tar yaad aaya,
Dil jala dhoop mein aisa ab ke,
Paanw yaad aaye na sar yaad aaya,
Gir pade haath se kaaghaz 'Baqi',
Apni mehnat ka samar yaad aaya.!!
"Baqi Siddiqui"
__________
Dasht-nawardi = To Roam Around In Wilderness,
No comments:
Post a Comment