Sunday, May 20, 2018

Shaam-e-firaaq Ab Na Poochh Aai Aur Aa Ke Tal Gayi

Shaam-e-firaaq ab na poochh aai aur aa ke tal gayi,
Dil tha ke phir bahal gaya jaan thi ke phir sambhal gayi,

Bazm-e-khyaal mein tere husn ki shama jal gayi,
Dard ka chaand bujh gaya hijr ki raat dhhal gayi,

Jab tujhe yaad kar liya subah mahak mahak uthi,
Jab tera ghum jaga liya raat machal machal gayi,

Dil se to har muaamla kar ke chale the saaf hum,
Kahne mein un ke saamne baat badal badal gayi,

Aakhir-e-shab ke hum-safar 'Faiz' na jaane kya hue,
Rah gayi kis jagah saba, subah kidhar nikal gayi..!!

"Faiz Ahmad Faiz"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...