Shayad mere badan ki ruswaai chahta hai,
Darwaza mere ghar ka beenaai chahta hai,
Auqat-e-zabt us ko ai chashm-e-tar bata de,
Ye dil samandaron ki gahraai chahta hai,
Shahron mein wo ghutan hai is daur mein ke insaan,
Gumnaam jangalon ki purwaai chahta hai,
Kuchh zalzale samo kar zanjeer ki khanak mein,
Ek raqs-e-waalehana saudaai chahta hai,
Kuchh is liye bhi apne charche hain shahar bhar mein,
Ek paarsa humari ruswaai chahta hai,
Har shakhs ki jabeen par karte hain raqs taare,
Har shakhs zindagi ki raanaai chahta hai,
Ab chhorh saath mera ai yaad-e-nau-jawaani,
Is umr ka musafir tanhaai chahta hai,
Main jab 'Qateel' apna sab kuchh luta chuka hun,
Ab mera pyar mujh se daanaai chahta hai.!!
"Qateel Shifai"
___
Raqs-e-waalehana = dance of love,
Raanaai = loveliness, beauty, grace, tenderness,
Yaad-e-nau-jawaani = memory of youth,
Daanaai = wisdom, sagacity, intelligence,
No comments:
Post a Comment