Shab ki bedariyan nahin achchhi,
Itni may-khwariyan nahin achchhi..
Wo kahin kibriya na ban jaayen,
Naaz-bardaariyan nahin achchhi..
Haddiyaan gaalne ke gur seekhun,
Sahl-angaariyan nahin achchhi..
Kuchh rawadariyon ki mashq bhi kar,
Sirf adakariyan nahin achchhi..
Haath se kho na baithna us ko,
Itni khuddariyan nahin achchhi..
Ai ghafoorur-raheem sach farma,
Kya khata-kaariyan nahin achchhi..!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment