Saaqi sharaab la ke tabiyat udaas hai,
Mutrib rubaab utha ke tabiyat udaas hai..
Ruk ruk ke saaz chhed ke dil mutmaeen nahin,
Tham tham ke may pila ke tabiyat udaas hai..
Chubhti hai qalb o jaan mein sitaron ki raushni,
Ai chaand doob ja ke tabiyat udaas hai..
Mujh se nazar na pher ke barham hai zindagi,
Mujh se nazar mila ke tabiyat udaas hai..
Shayad tere labo'n ki chatakh se ho ji bahaal,
Ai dost muskura ke tabiyat udaas hai..
Hai husn ka fusoo'n bhi ilaaj-e-fasurdagi,
Rukh se naqaab utha ke tabiyat udaas hai..
Main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab,
Ai mah-jabeen na ja ke tabiyat udaas hai..
Imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal,
Aaghosh mein dar aa ke tabiyat udaas hai..
Kaifiyat-e-sukoot se badhta hai aur ghum,
Qissa koi suna ke tabiyat udaas hai..
Yunhi durust hogi tabiyat teri 'Adam',
Kam-bakht bhul ja ke tabiyat udaas hai..
Tauba to kar chuka hun magar phir bhi ai 'Adam',
Thoda sa zahar la ke tabiyat udass hai.!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment