Raat ke baad naye din ki sahar aayegi,
Din nahin badlega tareekh badal jayegi,
Hanste hanste kabhi thak jaao to chhup ke ro lo,
Ye hansi bheeg ke kuchh aur chamak jayegi,
Jagmagati hui sadkon pe akele na phiro,
Shaam aayegi kisi mod pe das jayegi,
Aur kuchh der yunhi jang siyasat mazhab,
Aur thak jaao abhi neend kahaan aayegi,
Meri ghurbat ko sharafat ka abhi naam na de,
Waqt badla to teri raaye badal jayegi,
Waqt nadiyon ko uchhaale ke udaaye parbat,
Umr ka kaam guzarna hai guzar jayegi.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment