Sunday, May 20, 2018

Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahatein Sabhi Kulfatein

Sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahatein sabhi kulfatein,

Kabhi sohbatein kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbatein..

Ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke, 

Koi lamha subah-e-wisaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein..

Jo tumhaari maan lein naseha to rahega daaman-e-dil mein kya,

Na kisi adu ki adawatein na kisi sanam ki murawwatein..

Chalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal-e-shahar mein,

Ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein..

Meri jaan aaj ka ghum na kar ke na jaane kaatib-e-waqt ne,

Kisi apne kal mein bhi bhool kar kahin likh rakhi hon masarratein.!!

"Faiz Ahmad Faiz"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...