Rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam,
Mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam,
Dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair,
Gulsitaan ki baat rangeen hai na may-khane ka naam,
Phir nazar mein phool mahke dil mein phir shamein jalin,
Phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka naam,
Dilbari thehra zabaan-e-khalq khulwane ka naam,
Ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam,
Ab kisi laila ko bhi iqraar-e-mahboobi nahin,
In dinon badnaam hai har ek deewane ka naam,
Mohtasib ki khair ooncha hai usi ke faiz se,
Rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam,
Hum se kahte hain chaman waale gharibaan-e-chaman,
Tum koi achchha sa rakh lo apne veerane ka naam,
'Faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhein,
Aashna ke naam se pyara hai begaane ka naam..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment