Monday, May 14, 2018

Saaya-e-zulf Siyah-faam Kahaan Tak Pahunche

Saaya-e-zulf siyah-faam kahaan tak pahunche,
Jaane ye silsila-e-shaam kahaan tak pahunche,

Door ufuq par sahi pa to liya hai tujh ko,
Dekh hum le ke tera naam kahaan tak pahunche,

Ye sisakti hui raatein ye bilakte manzar,
Hum bhi ai saaya-e-gulfaam kahaan tak pahunche,

Na kahin saaya-e-gul hai na kahin zikr-e-habeeb,
Aur ab gardish-e-ayyaam kahaan tak pahunche,

Hum to ruswa the magar un ki nazar bhi na bachi,
Hum pe aaye hue ilzaam kahaan tak pahunche,

Mutmaeen garmi-e-ahsaas-e-jafa se bhi nahin,
Dil ko pahunche bhi to aaram kahaan tak pahunche,

Un ki aankhon ko diye the jo meri aankhon ne,
Kis se puchhun ke wo paighaam kahaan tak pahunche.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...