Monday, May 14, 2018

Raaste Yaad Nahin Rah-numa Yaad Nahin

Raaste yaad nahin rah-numa yaad nahin,
Ab mujhe kuchh teri galiyon ke siwa yaad nahin,

Phir khyaalon mein wo beete hue saawan aaye,
Lekin ab tujh ko papihe ki sada yaad nahin,

Ek waada tha jo sheeshe ki tarah toot gaya,
Haadsa kab ye hua kaise hua yaad nahin,

Hum diya karte the aghyaar ko taana jin ka,
Ab to hum ko bhi wo aadab-e-wafa yaad nahin,

Waza-daari se hai majboor mera pyaar 'Qateel'
Sab purane hain koi daagh naya yaad nahin.!!

"Qateel Shifai"
___
Waza-daari = courtesy, manners,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...