Tuesday, May 29, 2018

Saare Manzar Dilkash The Har Baat Suhani Lagti Thi

Saare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi,
Jiwan ki har shaam humein tab ek kahani lagti thi,

Jis ka chaand sa chehra tha aur zulf sunahri baadal si,
Mast hawa ka aanchal thaame ek deewani lagti thi,

Apne khwab naye lagte the aur phir un ke aage sab,
Duniya aur zamane ki har baat puraani lagti thi,

Pyaar ke mausam ki khushbu se ghuncha ghuncha mahka tha,
Mahki mahki duniya saari raat ki raani lagti thi,

Lamhon ke rangeen ghubbaare haath se chhoote jaate the,
Mausam dukh ka dard ki rut sab aani-jaani lagti thi,

Qaus-e-quzah ki baarish mein ye jazbon ki munh zor hawa,
Mauj udaate bal khate dariya ki rawaani lagti thi,

Ab dekhein to door kahin par yaadon ki phulwaari mein,
Rango'n se bharpoor faza thi jo la-faani lagti thi.!! 

"Farah Iqbal"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...