Tuesday, May 29, 2018

Raakh Udti Hui Baalon Mein Nazar Aati Hai

Raakh udti hui baalon mein nazar aati hai,
Umr guzre hue saalon mein nazar aati hai,

Jab bhi khola hai ye maazi ka dareecha main ne,
Koi tasveer khyaalon mein nazar aati hai, 

Shaam ke saath jo jaadu ho nigaahon ka teri,
Shaam waisi mere gaalon mein nazar aati hai,

Basti dil mein jahaan roz tha hangama naya,
Wo bhi ujde hue haalon mein nazar aati hai,

Kabhi tanhaai jo raaton ko sataati thi humein,
Ab wahi din ke ujaalon mein nazar aati hai.!! 

"Farah Iqbal"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...