Muskura kar khitaab karte ho,
Aadatein kyun kharaab karte ho..
Maar do mujh ko rahm-dil ho kar,
Kya ye kaar-e-sawaab karte ho..
Muflisi aur kis ko kahte hain,
Daulato'n ka hisaab karte ho..
Sirf ek iltija hai chhoti si,
Kya use baaryaab karte ho..
Hum to tum ko pasand kar baithe,
Tum kise intikhaab karte ho..
Khaar ki nok ko lahu de kar,
Intizaar-e-gulaab karte ho..
Ye nayi ehtiyaat dekhi hai,
Aaine se hijaab karte ho..
Kya zarurat hai bahs karne ki,
Kyun kaleja kabaab karte ho..
Ho chuka jo hisaab hona tha,
Aur ab kya hisaab karte ho..
Ek din ai 'Adam' na pi to kya,
Roz shaghl-e-sharaab karte ho..
Kitne be-rahm ho 'Adam' tum bhi,
Zikr-e-ahd-e-shabaab karte ho..
Ho kisi ki khushi gar is mein 'Adam',
Jurm ka irtikaab karte ho..!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment