Monday, May 7, 2018

Rudaad-e-mohabbat Kya Kahiye Kuchh Yaad Nahin Kuchh Bhool Gaye

Rudaad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,
Do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mahfil mein,
Ek hosh ki saa'at kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Ab waqt ke naazuk honthon par majrooh tarannum raqsaa'n hai,
Bedaad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Ahsaas ke may-khaane mein kahaan ab fikr-o-nazar ki qandeelein,
Aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Kuchh haal ke andhe saathi the kuchh maazi ke ayyaar sajan,
Ahbaab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Kaanton se bhara hai daaman-e-dil shabnam se sulagti hain palkein,
Phoolon ki sakhawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye,

Ab apni haqeeqat bhi 'Saghar' be-rabt kahaani lagti hai,
Duniya ki haqeeqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye.!!

"Saghar Siddiqui"
___
Majrooh = wounded, hurt, smitten,
Tarannum = modulation, a kind of song,
Bedaad-e-mashiyyat = tyranny of destiny,
Qandeelein = Hanging branched candlesticks; candlesticks; sconces,
Ayyaar = Artful, Cunning, Crafty, Imposter,
Sakhawat = generosity,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...