Monday, May 7, 2018

Ek Waada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahin

Ek waada hai kisi ka jo wafa hota nahin,
Warna in taaron bhari raaton mein kya hota nahin,

Ji mein aata hai ulat dein un ke chehre se naqaab,
Hausla karte hain lekin hausla hota nahin,

Shama jis ki aabru par jaan de de jhoom kar,
Wo patinga jal to jaata hai fana hota nahin,

Ab to muddat se raah-o-rasm-e-nazara band hai,
Ab to un ka toor par bhi saamna hota nahin,

Har shanawar ko nahin milta talatum se khiraaj,
Har safeene ka muhafiz nakhuda hota nahin,

Har bhikhari pa nahin sakta maqaam-e-khwajgi,
Har kas-o-na-kas ko tera ghum ata hota nahin,

Haaye ye begaanagi apni nahin mujh ko khabar,
Haaye ye aalam ke tu dil se juda hota nahin,

Baarha dekha hai 'Saghar' rahguzaar ishq mein,
Karwaan ke saath aksar rahnuma hota nahin.!!

"Saghar Siddiqui"
___
Shanawar = swimmer/ expert,
Talatum = dashing of waves, sea-storm, high tide, upheaval,
Khiraaj = paying obeisance,
Kas-o-na'kas = all and sundry, 05 everybody, great and small,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...