Saaqi ki ek nigaah ke afsaane ban gaye,
Kuchh phool toot kar mere paimane ban gaye,
Kati jahaan tasawwur-e-jaanaa mein ek shab,
Kahte hain log us jagah but-khaane ban gaye,
Jin par na saaye zulf-e-ghazalaan ke pad sake,
Ahsaas ki nigaah mein viraane ban gaye,
Jo pi sake na surkh labon ki tajalliyaan,
Duniya ke tajrabaat se anjaane ban gaye,
'Saghar' wahi maqaam hai ek manzil-e-faraaz,
Apne bhi jis maqaam pe begaane ban gaye.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment