Raste ka intikhaab zaroori sa ho gaya,
Ab ikhtitaam-e-baab zaroori sa ho gaya,
Hum chup rahe to aur bhi ilzaam aayega,
Ab kuchh na kuchh jawaab zaroori sa ho gaya,
Hum taalte rahe ki ye naubat na aane paaye,
Phir hijr ka azaab zaroori sa ho gaya,
Har shaam jald sone ki aadat hi pad gayi,
Har raat ek khwaab zaroori sa ho gaya,
Aaho'n se toot ta nahin ye gumbad-e-siyah,
Ab sang-e-aaftaab zaroori sa ho gaya,
Dena hai imtihaan tumhaare firaaq ka,
Ab sabr ka nisaab zaroori sa ho gaya.!!
"Aitebaar Sajid"
No comments:
Post a Comment