Monday, May 14, 2018

Rang Juda Aahang Juda Mahkaar Juda

Rang juda aahang juda mahkaar juda,
Pahle se ab lagta hai gulzaar juda,

Naghmon ki takhleeq ka mausam beet gaya,
Toota saaz to ho gaya taar se taar juda,

Be-zaari se apna apna jaam liye,
Baitha hai mahfil mein har may-khwaar juda,

Mila tha pahle darwaze se darwaza,
Lekin ab deewar se hai deewar juda,

Yaaro main to nikla hun jaan bechne ko,
Tum koi ab socho karobaar juda,

Sochta hai ek shaair bhi ek taajir bhi,
Lekin sab ki soch ka hai me'aar juda,

Kya lena is girgit jaisi duniya se,
Aaye rang nazar jis ka har baar juda,

Apna to hai zaahir-o-baatin ek magar,
Yaaron ki guftaar juda kirdaar juda,

Mil jaata hai mauqa khooni lahron ko,
Haathon se jab hote hain patwaar juda,

Kis ne diya hai sada kisi ka saath 'Qateel',
Ho jaana hai sab ko aakhir-kaar juda.!!

"Qateel Shifai"
___
Aahang = rhythm, harmony, melody, musical composition,
Mahkaar = fragrance,
Takhleeq = creation, compilation,
Zaahir-o-baatin = manifest and latent,
Guftaar = speech, discourse, conversation,
Aakhir-kaar = untimately,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...