Raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath,
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftaar ke saath,
Ghum lage rahte hain har aan khushi ke peechhe,
Dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath,
Kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karun,
Ghum-e-hasti bhi to shaamil hai ghum-e-yaar ke saath,
Lafz chunta hun to mafhoom badal jaata hai,
Ek na ek khauf bhi hai jur'at-e-izhaar ke saath,
Dushmani mujh se kiye ja magar apna ban kar,
Jaan le le meri sayyaad magar pyaar ke saath,
Do ghadi aao mil aayen kisi 'Ghalib' se 'Qateel',
Hazrat 'Zauq' to wabasta hain darbaar ke saath.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment