Saturday, May 12, 2018

Nazdeekiyon Mein Door Ka Manzar Talaash Kar

Nazdeekiyon mein door ka manzar talaash kar,
Jo haath mein nahin hai wo patthar talaash kar,

Suraj ke ird-gird bhatakne se faayeda,
Dariya hua hai gum to samundar talaash kar,

Tareekh mein mahal bhi hai haakim bhi takht bhi,
Gumnaam jo hue hain wo lashkar talaash kar,

Rahta nahin hai kuchh bhi yahaan ek sa sada,
Darwaza ghar ka khol ke phir ghar talaash kar,

Koshish bhi kar ummeed bhi rakh raasta bhi chun,
Phir is ke baad thoda muqaddar talaash kar.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...