Muddaton hum se mulaqaat nahin karte hain,
Ab to saaye bhi koi baat nahin karte hain..
Dasht-e-hairaan ka pata aaj bhi maloom nahin,
Ab to raahon mein bhi hum raat nahin karte hain..
Ma'abadon mein jo jalate the diye mere liye,
Ab sar-e-shaam munajaat nahin karte hain..
Baant dete hain sabhi khwab suhane apne,
Daaman-e-dard se khairaat nahin karte hain..
Rok lete the jo jangal mein wo aaseb bhi ab,
Chup hi rahte hain sawalaat nahin karte hain..
Wo jo barse the inayaat ke baadal hum par,
Wo bhi ab pahli si barsaat nahin karte hain,
Kitne barham the 'Farah' toot ke jab bikhre the,
Aaj-kal hum bhi shikayaat nahin karte hain.!!
"Farah Iqbal"
__________
Ma'abadon = temples,
Ma'abad = temple,
Munajaat = hymns, prayer, supplication,
No comments:
Post a Comment