Parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah,
Khushbu na hogi phool ki ghammaaz kis tarah,
Tarz-e-kalaam un ka hua tarz-e-khaas-o-aam,
Badlenge ab wo baat ka andaaz kis tarah,
Badla jo us ki aankh ka andaaz to khula,
Karte hain rang phool se parwaaz kis tarah,
Aankhon mein kaise tan gai deewar-e-be-hisi,
Seeno'n mein ghut ke rah gai aawaaz kis tarah,
Wo haq-parast kaise hue maslahat-parast,
Naghmo'n se be-libaas hue saaz kis tarah,
Aankhon mein mom daal ke baithenge kab talak,
Aainon se chhupayenge ye raaz kis tarah,
Us ki nazar mein aks-e-taalluq kahin nahin,
'Amjad' hadees-e-shauq ho aaghaaz kis tarah.!!
"Amjad Islam Amjad"
___
Ghammaaz = tale-bearer, the eyes of a mistress (metaphoric)
चुग़ली खानेवाला, भेद खोलने वाला
No comments:
Post a Comment