Tuesday, May 8, 2018

Paspa Hui Sipah To Parcham Bhi Hum Hi The

Paspa hui sipah to parcham bhi hum hi the,
Hairat ki baat ye hai ki barham bhi hum hi the,

Girne lage jo sookh ke patte to ye khula,
Gulshan the hum jo aap to mausam bhi hum hi the,

Hum hi the tere wasl se mahroom umr bhar,
Lekin tere jamaal ke mahram bhi hum hi the,

Manzil ki be-rukhi ke gila-mand the humin,
Har raaste mein sang-e-mujassam bhi hum hi the,

Apni hi aasteen mein tha khanjar chhupa hua,
'Amjad' har ek zakhm ka marham bhi hum hi the.!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...