Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta,
Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rahta,
Bade logon se milne mein hamesha faasla rakhna,
Jahaan dariya samandar se mila dariya nahin rahta,
hazaaron sheyr mere so gaye kaaghaz ki qabro'n mein,
Ajab maa hun koi bachcha mera zinda nahin rahta,
Mohabbat ek khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insaan tanhaai mein bhi tanha nahin rahta.!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment