Na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki,
Badi aarzu thi mulaqaat ki,
Ujaalon ki pariyaan nahaane lagin,
Nadi gungunaai khayalaat ki,
Main chup tha to chalti hawa ruk gayi,
Zabaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Muqaddar meri chashm-e-pur-aab ka,
Barasti hui raat barsaat ki,
Kayi saal se kuchh khabar hi nahin,
Kahaan din guzaara kahaan raat ki.!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment