Monday, May 14, 2018

Nigaahon Mein Chamak Dil Mein Khushi Mahsoos Karta Hun

Nigaahon mein chamak dil mein khushi mahsoos karta hun,
Ke tere bas mein apni zindagi mahsoos karta hun,

Thaka deti hain jab kaunain ki pahnaaiyan mujh ko,
Tere dar par pahunch kar taazgi mahsoos karta hun,

Ba-majboori muqaddar ke ufuq se jhaankne waale,
Teri aankhon mein ek sharmindagi mahsoos karta hun,

Jawani ko saza-e-lazzat-e-ahsaas de dena,
Main is had par khuda ko aadmi mahsoos karta hun,

Shab-e-aakhir falak par timtima kar doobte tare,
Main apne saath tera dard bhi mahsoos karta hun.!!

"Qateel Shifai"
___
Pahnaaiyan = Broadness, width, ampleness, extensiveness, spaciousness,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...