Naye ek shahar ko subah-e-safar kya le chali mujh ko,
Sada'en de rahi hai ek chhoti si gali mujh ko,
Main apni umr bhar ka chain jab us dar pe chhorh aaya,
Mili hai tab kahin ja kar zara si be-kali mujh ko,
Main qatre gin ke insaanon ki taqdeeren banata hun,
Zara si tishna-kaami ne bana daala vali mujh ko,
Main wo gulshan-gazeeda hun ke tanhaai ke mausam mein,
Nahin hote agar kaante to dasti hai kali mujh ko,
Mohabbat thi use lekin mera iflaas jab dekha,
Pareshan si nazar aai wo naazon ki pali mujh ko,
'Qateel' aabaad jab ghar tha to kyun mujh par kahin ghazlen,
Ye taana jaate jaate de gayi ek dil-jali mujh ko.!!
"Qateel Shifai"
___
Gulshan-gazeeda = hurt by garden,
Iflaas = poverty,
No comments:
Post a Comment