Saturday, May 12, 2018

Na Jaane Kaun Sa Manzar Nazar Mein Rahta Hai

Na jaane kaun sa manzar nazar mein rahta hai,
Tamaam umr musafir safar mein rahta hai,

Ladaai dekhe hue dushmanon se mumkin hai,
Magar wo khauf jo deewar-o-dar mein rahta hai,

Khuda to maalik-o-mukhtaar hai kahin bhi rahe,
Kabhi bashar mein kabhi jaanwar mein rahta hai,

Ajeeb daur hai ye tay-shuda nahin kuchh bhi,
Na chaand shab mein na suraj sahar mein rahta hai,

Jo milna chaho to mujh se milo kahin baahar,
Wo koi aur hai jo mere ghar mein rahta hai,

Badalna chaaho to duniya badal bhi sakti hai,
Ajab fitoor sa har waqt sar mein rahta hai.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...