Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi,
Nahin wisaal mayassar to aarzu hi sahi,
Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein,
Namaz-e-shauq to waajib hai be-wazu hi sahi,
Kisi tarah to jame bazm may-kade waalo,
Nahin jo baada-o-saghar to haaw-hu hi sahi,
Gar intizaar kathin hai to jab talak ai dil,
Kisi ke waada-e-farda ki guftugu hi sahi,
Dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi,
To 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment