Na ab raqeeb na naaseh na ghum-gusaar koi,
Tum aashna the to thin aashnaiyan kya kya..
Juda the hum to mayassar thin qurbatein kitni,
Baham hue to padi hain judaiyan kya kya..
Pahunch ke dar pe tere kitne mo'atbar thehre,
Agarche raah mein huyin jag-hansaiyan kya kya..
Hum aise saada-dilon ki niyaz-mandi se,
Buton ne ki hain jahaan mein khudaiyan kya kya..
Sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda,
Sikhayin tum ne humein kaj-adaaiyan kya kya.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment