Naseeb aazmane ke din aa rahe hain,
Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain,
Jo dil se kaha hai jo dil se suna hai,
Sab un ko sunane ke din aa rahe hain,
Abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do,
Ke lutne lutaane ke din aa rahe hain,
Tapakne lagi un nigaahon se masti,
Nigaahein churane ke din aa rahe hain,
Saba phir humein poochhti phir rahi hai,
Chaman ko sajaane ke din aa rahe hain,
Chalo 'Faiz' phir se kahin dil lagayen,
Suna hai thikane ke din aa rahe hain..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment