Munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun,
Aawazon ke bazaaron mein khamoshi pahchaane kaun,
Sadiyon sadiyon wahi tamasha rasta rasta lambi khoj,
Lekin jab hum mil jaate hain kho jaata hai jaane kaun,
Wo meri parchhaai hai ya main us ka aaina hun,
Mere hi ghar mein rahta hai mujh jaisa hi jaane kaun,
Jaane kya kya bol raha tha sarhad, pyaar, kitaabein, khoon,
Kal meri neendon mein chhup kar jaag raha tha jaane kaun,
Kiran kiran alsaata suraj palak palak khulti neendein,
Dheeme dheeme bikhar raha hai zarra zarra jaane kaun.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment