Thursday, May 17, 2018

Mushkil Ye Aa Padi Hai Ke Gardish Mein Jaam Hai

Mushkil ye aa padi hai ke gardish mein jaam hai,
Ai hosh warna mujh ko tera ahtiraam hai,

Fursat ka waqt dhundh ke milna kabhi ajal,
Tujh ko bhi kaam hai abhi mujh ko bhi kaam hai,

Aati bahut qareeb se khushbu hai yaar ki,
Jaari idhar udhar hi kahin daur-e-jaam hai,

Kuchh zahar ko taraste hain kuchh may mein gharq hain,
Saaqi ye teri bazm ka kya intizaam hai,

Mai aur haraam? hazrat-e-zahid khuda ka khauf,
Wo to kaha gaya tha ke masti haraam hai,

Ai zulf-e-ambareen zara lahra ke phailna,
Ek raat is chaman mein mera bhi qayaam hai,

Ai zindagi tu aap hi chupke se dekh le,
Jaam-e-Adam pe likkha hua kis ka naam hai.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________
Zulf-e-ambareen = saffron like tresses,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...