Munqalib surat-e-haalaat bhi ho jaati hai,
Din bhale hon to karamaat bhi ho jaati hai..
Husn ko aata hai jab apni zaroorat ka khyaal,
Ishq par lutf ki barsaat bhi ho jaati hai..
Dair o kaba hi is ka na taalluq samjho,
Zindagi hai ye kharabaat bhi ho jaati hai..
Jabr se ta'at-e-yazdaan bhi hai baar-e-khaatir,
Pyaar se aadat-e-khidmaat bhi ho jaati hai..
Daawar-e-hashr mujhe apna musahib na samajh,
Baaz auqaat khari baat bhi ho jaati hai..
Hashr mein le ke chalo mutrib o maashuq o subu,
Ghair ke ghar mein kabhi raat bhi ho jaati hai..
Baaz auqaat kisi aur ke milne se 'Adam',
Apni hasti se mulaqaat bhi ho jaati hai.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Munqalib = transformed,
Ta'at-e-yazdaan = obedience of God,
Baar-e-khaatir = unpleasant, disagreeable,
Daawar-e-hashr = judge on dooms day,
Musahib = companion, comrade, friend, associate,
Mutrib = singer, minstrel,
Subu = goblet of wine,
No comments:
Post a Comment