Thursday, May 17, 2018

Mujh Se Chuna'n-chuni'n Na Karo Main Nashe Mein Hun

Mujh se chuna'n-chuni'n na karo main nashe main hun,
Main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun,

Insaan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi,
Har-chand tum yaqeen na karo main nashe mein hun,

Ye waqt hai faraakh-dili ke sulook ka,
Tang apni aasteen na karo main nashe mein hun,

Be-ikhtiyaar choom na lun main kahin inhein,
Aankhon ko khashmagin na karo main nashe mein hun,

Har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-khuda,
Aanchal mere qareen na karo main nashe mein hun,

Bashshe mein surkh rang tahi-az-khatar nahi,
Honthon ko ahmareen na karo main nashe mein hun,

Dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'Adam',
Mujh ko bahut hazeen na karo main nashe mein hun.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Chuna'n-chuni'n = how why, 
Faraakh-dili = generosity,
Khashmagin = angry, furious, wrathful, enraged,
Qareen = palpable/ close,
Ahmareen = red, crimson,
Pai-ba-pai = one after another, repeatedly, incessantly,
Hazeen = sad, sorrowful, afflicted,

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...