Mohtaat o hoshiyaar to be-intiha hun main,
Amdan tera fareb-e-nazar kha gaya hun main,
Kya ye suboit kam nahin meri wafaon ka,
Main aap kah raha hun bahut bewafa hun main,
Aise gira hun teri khudaai ke saamne,
Mahsoos ho raha hai khuda ho gaya hun main,
Mere sukoot ko meri aawaz mat samajh,
Is pairahan mein tere sitam ki sada hun main,
Ye intiha hai mere adab ki ke ai 'Adam',
Us ka wajood ho ke bhi us se juda hun main.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Mohtaat = cautious,
Amdan = intentionally, wilfully,
No comments:
Post a Comment