Meri lau lagi hai tujh se ghum-e-zindagi mita de,
Tera naam hai maseeha mere dard ki dawa de..
Meri pyaas badh rahi hai mera dil sulag raha hai,
Jo nahin hai jaam saaqi to nigaah se pila de..
Mera muddaa hai itna tu agar kare gawara,
Main faqeer-e-aastaan hun mujhe bandagi sikha de..
Mujhe shauq-e-bandagi mein yahi ek aarzu hai,
Tera naqsh-e-pa jahaan ho mera sar wahin jhuka de..
Mujhe dekh kar pareshaan kya kahega ye zamana,
Main bhatak raha hun dar dar mujhe aa ke aasra de..
Tera jaam jaam-e-kausar tera may-kada hai jannat,
Mere haal pe karam kar meri tishnagi bujha de..
Jise aap chahte the wo 'Fana' hai ab kafan mein,
Koi ja ke aaj un ko zara ye khabar suna de.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment