Sunday, May 27, 2018

Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milaai Maza Aa Gaya

Mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milaai maza aa gaya,

Barq si gir gayi kaam hi kar gayi aag aisi lagai maza aa gaya...

Jaam mein ghol kar husn ki mastiyan chandni muskuraai maza aa gaya,

Chaand ke saaye mein ai mere saaqiya tu ne aisi pilaai maza aa gaya...

Nashsha shishe mein angdaai lene laga bazm-e-rindaa'n mein saaghar khanakne laga,

May-kade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke aai maza aa gaya...

Be-hijabana wo saamne aa gaye aur jawani jawani se takra gayi,

Aankh un ki ladi yun meri aankh se dekh kar ye ladaai maza aa gaya...

Aankh mein thi haya har mulaqaat par surkh aariz hue wasl ki baat par,

Us ne sharma ke mere sawalaat pe aise gardan jhukaai maza aa gaya...

Shaikh-saahab ka imaan bik hi gaya dekh kar husn-e-saaqi pighal hi gaya,

Aaj se pahle ye kitne maghroor the lut gayi parsaai maza aa gaya...

Ai 'Fana' shukr hai aaj baad-e-fana us ne rakh li mere pyaar ki aabru,

Apne haathon se us ne meri qabr pe chadar-e-gul chadhaai maza aa gaya.!!

"Fana Bulandshahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...