Mujh ko duniya ke har ek ghum se chhuda rakkha hai,
Jalwa-e-yaar ne mad'hosh bana rakkha hai,
Maut se aap ki ulfat ne bacha rakkha hai,
Warna beemar-e-ghum-e-hijr mein kya rakkha hai,
Arsa-e-hashr mein ruswaai yaqeeni thi magar,
Teri rahmat ne har ek jurm chhupa rakkha hai,
Manzil-e-dair-o-haram chhorh ke ai jaan-e-jahaan,
Main ne kaaba teri chaukhat ko bana rakkha hai,
Jazba-e-ishq mein takmeel-e-ibaadat ke liye,
Main ne sar yaar ke qadmon mein jhuka rakkha hai,
Tere jalwon ki ye shokhi are tauba tauba,
Hosh musa ka sar-e-tur utha rakkha hai.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment