[ Nazm ]
Mere khwaabon ke shabistaan mein ujaala na karo,
Ke bahut door sawera nazar aata hai mujhe...
Chhup gaye hain meri nazron se khad-o-khaal-e-hayat,
Har taraf abr ghanera nazar aata hai mujhe...
Chaand taare to kahaan ab koi jugnu bhi nahin,
Kitna shaffaaf andhera nazar aata hai mujhe...
Koi taabinda kiran yun mere dil par lapki,
Jaise soye hue mazloom pe talwaar uthe...
Kisi naghme ki sada goonj ke yun tharraai,
Jaise tooti hui paazeb se jhankaar uthe...
Main ne palkon ko uthaya bhi to aansu paaye,
Mujh se ab khaak jawaani ka koi baar uthe...
Tum ne raaton mein sitaare to tatole honge,
Main ne raaton mein andhere hi andhere dekhe...
Tum ne khwaabon ke paristaan to sajaye honge,
Main ne mahaul ke shab-rang pharere dekhe...
Tum ne ek taar ki jhankaar to sun li hogi,
Main ne geeton mein udaasi ke basere dekhe...
Mere ghum-khwaar mere dost tumhein kya maloom,
Zindagi maut ke manind guzaari main ne...
Ek bigdi hui surat ke siwa kuchh bhi na tha,
Jab bhi haalaat ki tasveer utaari main ne...
Kisi aflaak-nasheen ne mujhe dhutkaar diya,
Jab bhi roki hai muqaddar ki sawaari main ne...
Mere ghum-khwaar mere dost tumhein kya maloom.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment