[ Nazm ]
Jab bhi tanha mujhe paate hain guzarte lamhe,
Teri tasveer si raahon mein bichha jaate hain...
Main ke raahon mein bhatakta hi chala jaata hun,
Mujh ko khud meri nigaahon se chhupa jaate hain.!
Mere bechain khyaalon pe ubharne waali,
Apne khwaabon se na bahla meri tanhaai ko...
Jab teri saans meri saans mein tahleel nahin,
Kya karengi meri baahein teri angdaai ko.!
Jab khyaalon mein tere jism ko chhu leta hun,
Zindagi shoala-e-maazi se jhulas jaati hai...
Jab guzarta hun ghum-e-haal ke veerane se,
Mere ahsaas ki naagin mujhe das jaati hai.!
Hum-safar tujh ko kahun ya tujhe rahzan samjhun,
Raah mein la ke mujhe chhorh diya hai tu ne...
Ek wo din ke tera pyaar basa tha dil mein,
Ek ye waqt ke dil tod diya hai tu ne.!
Maazi o haal ki tafreeq wo qurbat ye firaaq,
Pyaar gulshan se chala aaya hai zindaanon mein...
Be-zaari apni sadaqat ko parakhti hi rahi,
Tal gaya husn zar-o-sim ki mizaanon mein.!
Ghair se resham-o-kam-khwab ki raahat pa kar,
Tu mujhe yaad bhi aayegi to kya aayegi...
Ek mustaqbil-e-zarreen ki tijaarat ke liye,
Tu mohabbat ke taqaddus ko bhi Thukrayegi.!
Aur main pyaar ki taqdees pe marne waala,
Dard ban kar tere ahsaas mein bas jaaunga...
Waqt aayega to ikhlaas ka baadal ban kar,
Teri jhulsi hui raaton pe baras jaaunga.!!
"Qateel Shifai"
__________
Tahleel = dissolved,
Shoala-e-maazi = blaze of the past,
Tafreeq = separation, subtraction, discrimination,
Be-zari = poverty,
Zar-o-sim = gold and silver,
Mizaanon = scales,
Resham-o-kam-khwab = silk and precious cloth,
Mustaqbil-e-zarreen = golden future,
Taqaddus = purity, sanctity, holiness,
Taqdees = sanctification, purity, sancity,
Ikhlaas = sincerity, great affection,
No comments:
Post a Comment